yaad meñ apne yār-e-jānī kī
ham ne mar mar ke zindagānī kī
dostoñ ko adū kiyā ham ne
kar ke tārīf yār-e-jānī kī
kyuuñ na rusvā kare zamāne meñ
ye kahānī ġham-e-nihānī kī
ruuh huegī hashr meñ sāhab
ik nishānī sarā-e-fānī kī
ḳhāksārī se baḌh gayā insāñ
arz par sair āsmānī kī
zard sūrat pe hijr meñ na hañso
sharh hai rañg-e-zāfrānī kī
aaj kal lucknow meñ ai 'aḳhtar'
dhuum hai terī ḳhush-bayānī kī
yaad mein apne yar-e-jaani ki
hum ne mar mar ke zindagani ki
doston ko adu kiya hum ne
kar ke tarif yar-e-jaani ki
kyun na ruswa kare zamane mein
ye kahani gham-e-nihani ki
ruh huegi hashr mein sahab
ek nishani sara-e-fani ki
KHaksari se baDh gaya insan
arz par sair aasmani ki
zard surat pe hijr mein na hanso
sharh hai rang-e-zafrani ki
aaj kal lucknow mein ai 'aKHtar'
dhum hai teri KHush-bayani ki
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
yaad mein apne yar-e-jaani ki
Nomaan Shauque
Leave a comment