Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imran Badayuni

  • Ghazal


KHuda tu itni bhi mahrumiyan na tari rakh


ḳhudā tū itnī bhī mahrūmiyāñ na taarī rakh
hamāre jism meñ ik ruuh to hamārī rakh

isī bahāne hī shāyad tirā ḳhayāl rakhe
tū apne aap pe duniyā kī kuchh udhārī rakh

tamām ḳhvāb tire gal na jaa.eñ is meñ hī
yuuñ har samay na mire yaar āñkheñ khārī rakh

lahū se byaaj chukānā paḌegā ab tujh ko
diyā ye mashvara kis ne ki jaañ udhārī rakh

talāsh karnā paḌe hañsne kā sabab tujh ko
ai zindagī na tū itnī bhī hoshiyārī rakh

bikhar rahī hai magar kyā pata sambhal jaa.e
tū is kahānī meñ ab dāstāñ hamārī rakh

na jaane kaun vibhīshan use batā aayā
hai merī jaan usūloñ meñ choT jaarī rakh

qalam udaas hai sahme hue haiñ saare varaq
ġham-e-hayāt na yuuñ shā.irī pe taarī rakh

judā huā hai to sāmān bhī alag kar le
mujhe faqīrī de aur apnī tāj-dārī rakh

vafā ḳhulūs daġhā jhuuT sab maiñ dekhūñ to
tū mere sāmne har chiiz baarī baarī rakh

mashīnī daur meñ jazbāt kyā bayāñ karnā
chhupā ke yaar tabassum meñ be-qarārī rakh

kuchh ek raaz to vājib haiñ is jahāñ ke liye
har ek baat na 'āzād' ishtihārī rakh

KHuda tu itni bhi mahrumiyan na tari rakh
hamare jism mein ek ruh to hamari rakh

isi bahane hi shayad tera KHayal rakhe
tu apne aap pe duniya ki kuchh udhaari rakh

tamam KHwab tere gal na jaen is mein hi
yun har samay na mere yar aankhen khaari rakh

lahu se byaj chukana paDega ab tujh ko
diya ye mashwara kis ne ki jaan udhaari rakh

talash karna paDe hansne ka sabab tujh ko
ai zindagi na tu itni bhi hoshiyari rakh

bikhar rahi hai magar kya pata sambhal jae
tu is kahani mein ab dastan hamari rakh

na jaane kaun wibhishan use bata aaya
hai meri jaan usulon mein choT jari rakh

qalam udas hai sahme hue hain sare waraq
gham-e-hayat na yun shairi pe tari rakh

juda hua hai to saman bhi alag kar le
mujhe faqiri de aur apni taj-dari rakh

wafa KHulus dagha jhuT sab main dekhun to
tu mere samne har chiz bari bari rakh

mashini daur mein jazbaat kya bayan karna
chhupa ke yar tabassum mein be-qarari rakh

kuchh ek raaz to wajib hain is jahan ke liye
har ek baat na 'azad' ishtihaari rakh


Leave a comment

+