Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaaz tawakkal

  • Ghazal


bahti hui aankhon ki rawani mein mare hain


bahtī huī āñkhoñ kī ravānī meñ mare haiñ
kuchh ḳhvāb mire ain-javānī meñ mare haiñ

rotā huuñ maiñ un lafzoñ kī qabroñ pe ka.ī baar
jo lafz mirī shola-bayānī meñ mare haiñ

kuchh tujh se ye duurī bhī mujhe maar ga.ī hai
kuchh jazbe mire naql-e-makānī meñ mare haiñ

qabroñ meñ nahīñ ham ko kitāboñ meñ utāro
ham log mohabbat kī kahānī meñ mare haiñ

is ishq ne āḳhir hameñ barbād kiyā hai
ham log isī khaulte paanī meñ mare haiñ

kuchh had se ziyāda thā hameñ shauq-e-mohabbat
aur ham hī mohabbat kī girānī meñ mare haiñ

bahti hui aankhon ki rawani mein mare hain
kuchh KHwab mere ain-jawani mein mare hain

rota hun main un lafzon ki qabron pe kai bar
jo lafz meri shola-bayani mein mare hain

kuchh tujh se ye duri bhi mujhe mar gai hai
kuchh jazbe mere naql-e-makani mein mare hain

qabron mein nahin hum ko kitabon mein utaro
hum log mohabbat ki kahani mein mare hain

is ishq ne aaKHir hamein barbaad kiya hai
hum log isi khaulte pani mein mare hain

kuchh had se ziyaada tha hamein shauq-e-mohabbat
aur hum hi mohabbat ki girani mein mare hain


Source: Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 265)

Leave a comment

+