jachtī nahīñ kuchh shāhī-o-imlāk nazar meñ
haiñ mehr-o-mah-o-anjum-o-aflāk nazar meñ
ik soz-e-fusūñ gar hai tirī aañkh meñ pinhāñ
hai dil ke liye shauq kā fitrāk nazar meñ
kyā ḳhuub ki kashkol faqīrī se hai aayā
ik ganj-e-girāñ-māya tah-e-ḳhāk-e-nazar meñ
ik ḳhvāb-e-sahar-sāz kā nāyāb ḳhazāna
daryāft kiyā hai tirī bebāk nazar meñ
kuchh aur kahāñ chāhiye is dil ko ki ab hai
dariyā-e-ġham-e-ishq kā pairāk nazar meñ
ye ḳhvāb hai sayyād kā yā ik dil-e-vahshī
ubhrā hai koī tā.ir-e-chālāk nazar meñ
sailāb shaqāvat ke muqābil hai tumhāre
ye fasl-e-mohabbat ḳhas-o-ḳhāshāk nazar meñ
khaa.e haiñ bahut mauj-e-muḳhālif ke thapeḌe
rakkhā hai bahut bahr-e-ḳhatarnāk nazar meñ
malbūs meñ 'anjum' ke haiñ paivand ke gauhar
kyuuñ Thahre ye kamḳhāb kī poshāk nazar meñ
jachti nahin kuchh shahi-o-imlak nazar mein
hain mehr-o-mah-o-anjum-o-aflak nazar mein
ek soz-e-fusun gar hai teri aankh mein pinhan
hai dil ke liye shauq ka fitrak nazar mein
kya KHub ki kashkol faqiri se hai aaya
ek ganj-e-giran-maya tah-e-KHak-e-nazar mein
ek KHwab-e-sahar-saz ka nayab KHazana
daryaft kiya hai teri bebak nazar mein
kuchh aur kahan chahiye is dil ko ki ab hai
dariya-e-gham-e-ishq ka pairak nazar mein
ye KHwab hai sayyaad ka ya ek dil-e-wahshi
ubhra hai koi tair-e-chaalak nazar mein
sailab shaqawat ke muqabil hai tumhaare
ye fasl-e-mohabbat KHas-o-KHashak nazar mein
khae hain bahut mauj-e-muKHalif ke thapeDe
rakkha hai bahut bahr-e-KHatarnak nazar mein
malbus mein 'anjum' ke hain paiwand ke gauhar
kyun Thahre ye kamKHab ki poshak nazar mein
Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-96 Page Number-123) Author : Tufail Ahmad Ansari Publication : Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban (2010) Edition : 2010
Leave a comment