kaash hotā maza kahānī meñ
dil mirā bujh gayā javānī meñ
un kī ulfat meñ ye milā ham ko
zaḳhm paa.e haiñ bas nishānī meñ
aao dikhlā.eñ ek anhonī
aag lagtī hai kaise paanī meñ
tum rahe pāk-sāf dil har dam
maiñ rahā sirf bad-gumānī meñ
kash hota maza kahani mein
dil mera bujh gaya jawani mein
un ki ulfat mein ye mila hum ko
zaKHm pae hain bas nishani mein
aao dikhlaen ek anhoni
aag lagti hai kaise pani mein
tum rahe pak-saf dil har dam
main raha sirf bad-gumani mein
Leave a comment