Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dua Ali

  • Ghazal


mujhe hansne ki aadat thi magar wo aur kuchh samjha


mujhe hañsne kī aadat thī magar vo aur kuchh samjhā
zarā sī ik sharārat thī magar vo aur kuchh samjhā

mirī har baat par hañsne se aksar vo ulajhtā thā
mujhe us se mohabbat thī magar vo aur kuchh samjhā

maiñ hañstī thī ki ranj-o-ġham mirā zāhir na ho us par
muqaddar meñ jo zulmat thī magar vo aur kuchh samjhā

maiñ sun kar Taal jaatī thī nasīhat kī sabhī bāteñ
mirī dil se baġhāvat thī magar vo aur kuchh samjhā

sunānā hāl-e-dil chāhā magar us ko bhī jaldī thī
baḌī achchhī hikāyat thī magar vo aur kuchh samjhā

manānā chāhtī thī sachche dil se ai 'duā' us ko
use mujh se shikāyat thī magar vo aur kuchh samjhā

mujhe hansne ki aadat thi magar wo aur kuchh samjha
zara si ek shararat thi magar wo aur kuchh samjha

meri har baat par hansne se aksar wo ulajhta tha
mujhe us se mohabbat thi magar wo aur kuchh samjha

main hansti thi ki ranj-o-gham mera zahir na ho us par
muqaddar mein jo zulmat thi magar wo aur kuchh samjha

main sun kar Tal jati thi nasihat ki sabhi baaten
meri dil se baghawat thi magar wo aur kuchh samjha

sunana haal-e-dil chaha magar us ko bhi jaldi thi
baDi achchhi hikayat thi magar wo aur kuchh samjha

manana chahti thi sachche dil se ai 'dua' us ko
use mujh se shikayat thi magar wo aur kuchh samjha


Source: Book : Roomani Ghazlen (Pg. 26) Author : Samina Hijab Publication : Maktaba Jamia Limited, New Delhi (1997) Edition : 1997

Leave a comment

+