Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Nadeem Faisal

  • Ghazal


aap be-kar ulajh baiThe hain taqdir ke sath


aap be-kār ulajh baiThe haiñ taqdīr ke saath
pahle paḌhiye to zarā sabr ko tafsīr ke saath

maslahat hai ki mohabbat hai ġhazab hai jo hai
dekh dīvār utar aa.ī hai tasvīr ke saath

muflisī aa ga.ī is baar bhī aaḌe varna
lāziman phuul bhī milte tujhe tahrīr ke saath

kyā hī achchhā thā shah-e-vaqt ki aisā hotā
dukh filistīñ kā bhī hotā tujhe kashmīr ke saath

sūjhtā hai kabhī 'faisal' jo kināra karnā
laakh ḳhadshāt janam lete haiñ tadbīr ke saath

aap be-kar ulajh baiThe hain taqdir ke sath
pahle paDhiye to zara sabr ko tafsir ke sath

maslahat hai ki mohabbat hai ghazab hai jo hai
dekh diwar utar aai hai taswir ke sath

muflisi aa gai is bar bhi aaDe warna
laziman phul bhi milte tujhe tahrir ke sath

kya hi achchha tha shah-e-waqt ki aisa hota
dukh filistin ka bhi hota tujhe kashmir ke sath

sujhta hai kabhi 'faisal' jo kinara karna
lakh KHadshat janam lete hain tadbir ke sath


Leave a comment

+