masraf ke baġhair jal rahā huuñ
maiñ suune makān kā diyā huuñ
manzil hai na koī jaada phir bhī
āshob-e-safar meñ mubtalā huuñ
mahmil bhī nahīñ koī nazar meñ
sahrā kī bhī ḳhaak chhāntā huuñ
mansūr na da.ava-e-anal-haq
suulī pe magar laTak rahā huuñ
ai ahl-e-karam nahīñ maiñ saa.il
raste pe yūñhī khaḌā huā huuñ
ab shikva-e-sañg-o-ḳhisht kaisā
jab terī galī meñ aa gayā huuñ
is shahr meñ vaz-e-kaj-kulāhī
maiñ vāqa.ī dar-ḳhur-e-sazā huuñ
masraf ke baghair jal raha hun
main sune makan ka diya hun
manzil hai na koi jada phir bhi
aashob-e-safar mein mubtala hun
mahmil bhi nahin koi nazar mein
sahra ki bhi KHak chhanta hun
mansur na dawa-e-anal-haq
suli pe magar laTak raha hun
ai ahl-e-karam nahin main sail
raste pe yunhi khaDa hua hun
ab shikwa-e-sang-o-KHisht kaisa
jab teri gali mein aa gaya hun
is shahr mein waz-e-kaj-kulahi
main waqai dar-KHur-e-saza hun
Source: Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 644) Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Leave a comment