Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Umar Farhat

  • Ghazal


diwar phalang kar aaya


dīvār phalāñg kar aayā
sūraj kā aadhā saayā

nāgin ne palaT palaT kar
der talak mujh ko Darāyā

thā koī aur khañDar meñ
jis ne vo charāġh jalāyā

kal shab pāgal ho kar vo
phir mere tan meñ samāyā

us ke tan kī ret pe kyā
maiñ ne kuchh ḳhāka banāyā

diwar phalang kar aaya
suraj ka aadha saya

nagin ne palaT palaT kar
der talak mujh ko Daraya

tha koi aur khanDar mein
jis ne wo charagh jalaya

kal shab pagal ho kar wo
phir mere tan mein samaya

us ke tan ki ret pe kya
main ne kuchh KHaka banaya


Leave a comment

+