Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yasir Khan

  • Ghazal


zamin banai gai aasman banaya gaya


zamīñ banā.ī ga.ī āsmāñ banāyā gayā
barā.e-ishq ye saarā jahāñ banāyā gayā

tumhārī nā ko hī āḳhir meñ haañ banāyā gayā
yaqīñ ke chaak pe rakh kar gumāñ banāyā gayā

tum us ke paas ho jis ko tumhārī chaah na thī
kahāñ pe pyaas thī dariyā kahāñ banāyā gayā

hamāre saath koī do qadam bhī chal na sakā
kisī ke vāste ik kārvāñ banāyā gayā

badal ke dekh lo tum jism chāhe auroñ se
vahīñ pe Thiik hai jis ko jahāñ banāyā gayā

kisī ko jab bhī zarūrat paḌī siyāhī kī
hamārā jism jalā kar dhuāñ banāyā gayā

bas ek maiñ hī thā bastī meñ bolne vaalā
to sab se pahle mujhe be-zabāñ banāyā gayā

zamin banai gai aasman banaya gaya
barae-ishq ye sara jahan banaya gaya

tumhaari na ko hi aaKHir mein han banaya gaya
yaqin ke chaak pe rakh kar guman banaya gaya

tum us ke pas ho jis ko tumhaari chah na thi
kahan pe pyas thi dariya kahan banaya gaya

hamare sath koi do qadam bhi chal na saka
kisi ke waste ek karwan banaya gaya

badal ke dekh lo tum jism chahe auron se
wahin pe Thik hai jis ko jahan banaya gaya

kisi ko jab bhi zarurat paDi siyahi ki
hamara jism jala kar dhuan banaya gaya

bas ek main hi tha basti mein bolne wala
to sab se pahle mujhe be-zaban banaya gaya


Leave a comment

+