Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadir Shahjahanpuri

  • Ghazal


wo kabhi mail-e-wafa na hua


vo kabhī mā.il-e-vafā na huā
merā chāhā huā burā na huā

mar ga.e vasl-e-dil-rubā na huā
mudda.ā hasb-e-mudda.ā na huā

us se mazmūñ bañdhā na choTī kā
zulf-e-jānāñ pe jo fidā na huā

qaid-e-marqad milī pas-e-murdan
jaan de kar bhī meñ rihā na huā

tū ne yārab zabāñ to dī mujh ko
shukr terā magar adā na huā

dam nikaltā butoñ pe kyā lekin
ye bhī ik maut kā bahāna huā

faiz-e-'ishrat' se ab tū ai 'nādir'
meñ bhī ik shā.er-e-yagāna huā

wo kabhi mail-e-wafa na hua
mera chaha hua bura na hua

mar gae wasl-e-dil-ruba na hua
muddaa hasb-e-muddaa na hua

us se mazmun bandha na choTi ka
zulf-e-jaanan pe jo fida na hua

qaid-e-marqad mili pas-e-murdan
jaan de kar bhi mein riha na hua

tu ne yarab zaban to di mujh ko
shukr tera magar ada na hua

dam nikalta buton pe kya lekin
ye bhi ek maut ka bahana hua

faiz-e-'ishrat' se ab tu ai 'nadir'
mein bhi ek shaer-e-yagana hua


Source: Book : Deewan-e-Nadir (Pg. 49) Author : Abul Khayal Nadir Shahjahanpuri Publication : Jasper Paul John Robert paul memorial Society (2015) Edition : 2015

Leave a comment

+