Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yunus Tahseen

  • Ghazal


kaleje karb sahte sahte chhalni ho chuke hain


kaleje karb sahte sahte chhalnī ho chuke haiñ
magar ab kyā kareñ ham is ke aadī ho chuke haiñ

hamāre sāmne se ishq-o-ulfat ko uThā le
ye qisse ham tak aate aate raddī ho chuke haiñ

sitam ai gardish-e-daurāñ kise dukhḌe sunā.eñ
dilāsa dene vaale haath miTTī ho chuke haiñ

to kyā pyāsoñ ko paanī bhī pilāne se ga.e ham
to kyā ye maan leñ ham log kuufī ho chuke haiñ

hamāre shahr se mumkin ho to bach kar guzar jā
hamāre shahr ke sab log vahshī ho chuke haiñ

are hairat se kyā dekhe haiñ āñkhoñ ko hamārī
ye mashkīze to ik muddat se ḳhālī ho chuke haiñ

jo mauzūñ haiñ unheñ qīmat munāsib hī milegī
magar saste bikeñge vo jo dāġhī ho chuke haiñ

hamārā naam nāmoñ se alag likkhegī duniyā
ki ham terī mohabbat meñ misālī ho chuke haiñ

kaleje karb sahte sahte chhalni ho chuke hain
magar ab kya karen hum is ke aadi ho chuke hain

hamare samne se ishq-o-ulfat ko uTha le
ye qisse hum tak aate aate raddi ho chuke hain

sitam ai gardish-e-dauran kise dukhDe sunaen
dilasa dene wale hath miTTi ho chuke hain

to kya pyason ko pani bhi pilane se gae hum
to kya ye man len hum log kufi ho chuke hain

hamare shahr se mumkin ho to bach kar guzar ja
hamare shahr ke sab log wahshi ho chuke hain

are hairat se kya dekhe hain aankhon ko hamari
ye mashkize to ek muddat se KHali ho chuke hain

jo mauzun hain unhen qimat munasib hi milegi
magar saste bikenge wo jo daghi ho chuke hain

hamara nam namon se alag likkhegi duniya
ki hum teri mohabbat mein misali ho chuke hain


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+