Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Fareed Javed

  • Ghazal


pahunch ke hum sar-e-manzil jinhen bhula na sake


pahuñch ke ham sar-e-manzil jinheñ bhulā na sake
vo ham-safar the jo kuchh duur saath aa na sake

tamām umr pashemāniyoñ meñ biit ga.ī
ba-qadr-e-shauq mohabbat ke naaz uThā na sake

mujhe ḳhayāl hai un dil-girafta kaliyoñ kā
jinheñ nasīm-e-sahar chheḌ de khilā na sake

kuchh aise dard bhī haiñ zindagī kī rāhoñ meñ
jahāñ hijāb-e-tabassum bhī kaam aa na sake

karam kī aas ke sāyoñ meñ bujh gayā vo charāġh
havā-e-yās ke jhoñke jise bujhā na sake

añdherī shab thī sitāroñ se kyā sukūñ miltā
sitāre bhī to bahut der jagmagā na sake

ġhazal ke husn kā ehsās us ko kyā 'jāved'
ḳhulūs-e-narmī-e-guftār ko jo pā na sake

pahunch ke hum sar-e-manzil jinhen bhula na sake
wo ham-safar the jo kuchh dur sath aa na sake

tamam umr pashemaniyon mein bit gai
ba-qadr-e-shauq mohabbat ke naz uTha na sake

mujhe KHayal hai un dil-girafta kaliyon ka
jinhen nasim-e-sahar chheD de khila na sake

kuchh aise dard bhi hain zindagi ki rahon mein
jahan hijab-e-tabassum bhi kaam aa na sake

karam ki aas ke sayon mein bujh gaya wo charagh
hawa-e-yas ke jhonke jise bujha na sake

andheri shab thi sitaron se kya sukun milta
sitare bhi to bahut der jagmaga na sake

ghazal ke husn ka ehsas us ko kya 'jawed'
KHulus-e-narmi-e-guftar ko jo pa na sake


Source: Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 15) Author : abdul ahad saaz Publication : madran publication house 9,gola market daryagan new delhi (2003) Edition : 2003

Leave a comment

+