Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faisal Azeem

  • Ghazal


na chehre se na aankhon se ayan ishq


na chehre se na āñkhoñ se ayaañ ishq
abhī dil par tire utrā kahāñ ishq

abhī tak sirf āvāzeñ sunī haiñ
abhī tak likh rahī haiñ uñgliyāñ ishq

zabāñ par is qadar gardān kyoñ hai
to kaise hosh meñ kahtā hai haañ ishq

zamīñ se āsmāñ tak gul khile haiñ
taḌap kar ho rahe haiñ jism-o-jāñ ishq

yahī to e'tibār-e-shab-kada hai
mirā hāsil hai ye kār-e-ziyāñ ishq

na chehre se na aankhon se ayan ishq
abhi dil par tere utra kahan ishq

abhi tak sirf aawazen suni hain
abhi tak likh rahi hain ungliyan ishq

zaban par is qadar gardan kyon hai
to kaise hosh mein kahta hai han ishq

zamin se aasman tak gul khile hain
taDap kar ho rahe hain jism-o-jaan ishq

yahi to e'tibar-e-shab-kada hai
mera hasil hai ye kar-e-ziyan ishq


Leave a comment

+