Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahmood Shaam

  • Ghazal


jaane ai dost kya hua hum ko


jaane ai dost kyā huā ham ko
terā ġham bhī na ab rahā ham ko

ham na aa.eñ kahīñ ye mumkin hai
aap deñ to sahī sadā ham ko

ḳhushk patte haiñ ham na jaane kab
le uḌe bā.ulī havā ham ko

kab se haiñ ham to gosh-bar-āvāz
kuchh to ai ḳhāmushī sunā ham ko

kis liye ḳhaar hoñ talāsh meñ ham
ḳhud hī DhūñDegā rāsta ham ko

yūñhī aa aa ke lipTe jaatī hai
jaane kahtī hai kyā sabā ham ko

ho ga.ī duur saare din kī thakan
'shām' se vo sukūñ milā ham ko

jaane ai dost kya hua hum ko
tera gham bhi na ab raha hum ko

hum na aaen kahin ye mumkin hai
aap den to sahi sada hum ko

KHushk patte hain hum na jaane kab
le uDe bauli hawa hum ko

kab se hain hum to gosh-bar-awaz
kuchh to ai KHamushi suna hum ko

kis liye KHar hon talash mein hum
KHud hi DhunDega rasta hum ko

yunhi aa aa ke lipTe jati hai
jaane kahti hai kya saba hum ko

ho gai dur sare din ki thakan
'sham' se wo sukun mila hum ko


Leave a comment

+