Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Zaidi

  • Ghazal


is se pahle ki naya phir koi hamla ho jae


is se pahle ki nayā phir koī hamla ho jaa.e
jāgte rahiye yahāñ tak ki saverā ho jaa.e

ḳhud ko har samt se paanī meñ ghirā paatā huuñ
mujh pe allāh kare pyaas kā ġhalba ho jaa.e

jism meñ jism chhupā liije ki us se pahle
ThanD baḌh jaa.e havā kā koī hamla ho jaa.e

kab se vo sañg liye phirtā hai bechain udaas
aaj ai kaash mirā jism bhī shīsha ho jaa.e

roz har chehra nayā har na.ī poshāk ke saath
kaise har koī 'zafar' aap ke jaisā ho jaa.e

is se pahle ki naya phir koi hamla ho jae
jagte rahiye yahan tak ki sawera ho jae

KHud ko har samt se pani mein ghira pata hun
mujh pe allah kare pyas ka ghalba ho jae

jism mein jism chhupa lije ki us se pahle
ThanD baDh jae hawa ka koi hamla ho jae

kab se wo sang liye phirta hai bechain udas
aaj ai kash mera jism bhi shisha ho jae

roz har chehra naya har nai poshak ke sath
kaise har koi 'zafar' aap ke jaisa ho jae


Leave a comment

+