Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wahid Premi

  • Ghazal


shiddat-e-shauq asar-KHez hai jadu ki tarah


shiddat-e-shauq asar-ḳhez hai jaadū kī tarah
dil kī dhaḌkan kī bhī āvāz hai ghuñghrū kī tarah

maiñ vo dīvāna-e-hālāt huuñ sahrā sahrā
jo phirā kartā hai bhaTke hue aahū kī tarah

jaane kis rañg meñ aa.ī hai bahārāñ ab ke
phuul bhī zaḳhm sā shabnam bhī hai aañsū kī tarah

vo jo amvāj-e-havādis meñ haiñ palne vaale
un ko tūfāñ nazar aatā hai lab-e-jū kī tarah

gum-rah-e-shauq ko hamrāh dikhāne ke liye
zulmat-e-shab meñ chamakte rahe jugnū kī tarah

fikr-o-fan kī na.e gul-daste sajā kar 'vāhid'
aao bas jaa.eñ har ik zehn meñ ḳhushbū kī tarah

shiddat-e-shauq asar-KHez hai jadu ki tarah
dil ki dhaDkan ki bhi aawaz hai ghunghru ki tarah

main wo diwana-e-haalat hun sahra sahra
jo phira karta hai bhaTke hue aahu ki tarah

jaane kis rang mein aai hai bahaaran ab ke
phul bhi zaKHm sa shabnam bhi hai aansu ki tarah

wo jo amwaj-e-hawadis mein hain palne wale
un ko tufan nazar aata hai lab-e-ju ki tarah

gum-rah-e-shauq ko hamrah dikhane ke liye
zulmat-e-shab mein chamakte rahe jugnu ki tarah

fikr-o-fan ki nae gul-daste saja kar 'wahid'
aao bas jaen har ek zehn mein KHushbu ki tarah


Leave a comment

+