Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Abbas

  • Ghazal


hum hi ne sikh liya rahguzar ko ghar karna


ham hī ne siikh liyā rahguzar ko ghar karnā
vagarna us kī to aadat hai dar-ba-dar karnā

na apnī raah thī koī na koī manzil thī
tabhī to chāhā thā tujh ko hī ham-safar karnā

thiiñ garche gird mire ḳhāmushī kī dīvāreñ
tumhāre vāste mushkil nahīñ thā dar karnā

tumhārī tark-o-talab jism-o-rūh kī uljhan
hameñ bhī aa na sakā ḳhud ko mo'atabar karnā

tirī nigāh-e-taġhāful-shi.ār ke sadqe
hameñ bhī aa hī gayā hai guzar-basar karnā

jo ab ke dard uThā dil meñ āḳhirī hogā
jo ho sake to use merā chāragar karnā

maiñ chuur chuur huuñ dekho bikhar na jā.ūñ kahīñ
mirī duāoñ ko itnā na be-asar karnā

bahār aa.ī hai is baar kuchh likheñ ham bhī
sikhāo ham ko bhī is dard ko shajar karnā

hum hi ne sikh liya rahguzar ko ghar karna
wagarna us ki to aadat hai dar-ba-dar karna

na apni rah thi koi na koi manzil thi
tabhi to chaha tha tujh ko hi ham-safar karna

thin garche gird mere KHamushi ki diwaren
tumhaare waste mushkil nahin tha dar karna

tumhaari tark-o-talab jism-o-ruh ki uljhan
hamein bhi aa na saka KHud ko mo'atabar karna

teri nigah-e-taghaful-shiar ke sadqe
hamein bhi aa hi gaya hai guzar-basar karna

jo ab ke dard uTha dil mein aaKHiri hoga
jo ho sake to use mera chaaragar karna

main chur chur hun dekho bikhar na jaun kahin
meri duaon ko itna na be-asar karna

bahaar aai hai is bar kuchh likhen hum bhi
sikhao hum ko bhi is dard ko shajar karna


Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+