zindagī apnī kāmyāb nahīñ
ġham-e-daurāñ kā kuchh hisāb nahīñ
dard jis meñ na ho vo dil kaisā
naaz jis meñ na ho shabāb nahīñ
mauj-e-dariyā ko chāhiye tezī
jo uThā.e na sar habāb nahīñ
dost terī harīm-e-aqdas meñ
ek banda hī bāryāb nahīñ
ḳhvāb-e-marg aa.egā zarūr ik din
ye haqīqat hai koī ḳhvāb nahīñ
tere bāb-e-qubūl par yārab
arz merī hī mustajāb nahīñ
kaam ye lā javāb karte ho
mere ḳhat kā koī javāb nahīñ
mere jurmoñ kā kuchh hisāb to hai
tere hī rahm kā hisāb nahīñ
kyā karūñ terī diid kī hasrat
jab mujhe dekhne kī taab nahīñ
dekh gahrī nazar se dariyā ko
koī aisī khulī kitāb nahīñ
tujh se bekas haiñ saikḌoñ 'nādir'
zer-e-gardūñ tū hī ḳharāb nahīñ
zindagi apni kaamyab nahin
gham-e-dauran ka kuchh hisab nahin
dard jis mein na ho wo dil kaisa
naz jis mein na ho shabab nahin
mauj-e-dariya ko chahiye tezi
jo uThae na sar habab nahin
dost teri harim-e-aqdas mein
ek banda hi baryab nahin
KHwab-e-marg aaega zarur ek din
ye haqiqat hai koi KHwab nahin
tere bab-e-qubul par yarab
arz meri hi mustajab nahin
kaam ye la jawab karte ho
mere KHat ka koi jawab nahin
mere jurmon ka kuchh hisab to hai
tere hi rahm ka hisab nahin
kya karun teri did ki hasrat
jab mujhe dekhne ki tab nahin
dekh gahri nazar se dariya ko
koi aisi khuli kitab nahin
tujh se bekas hain saikDon 'nadir'
zer-e-gardun tu hi KHarab nahin
Source: Book : Deewan-e-Nadir (Pg. 194) Author : Abul Khayal Nadir Shahjahanpuri Publication : Jasper Paul John Robert paul memorial Society Jhansi U.P (2015) Edition : 2015
Leave a comment