vatan ko kuchh nahīñ ḳhatra nizām-e-zar hai ḳhatre meñ
haqīqat meñ jo rahzan hai vahī rahbar hai ḳhatre meñ
jo baiThā hai saf-e-mātam bichhā.e marg-e-zulmat par
vo nauhagar hai ḳhatre meñ vo dānish-var hai ḳhatre meñ
agar tashvīsh lāhaq hai to sultānoñ ko lāhaq hai
na terā ghar hai ḳhatre meñ na merā ghar hai ḳhatre meñ
jahāñ 'iqbāl' bhī nazr-e-ḳhat-e-tansīḳh ho 'jālib'
vahāñ tujh ko shikāyat hai tirā jauhar hai ḳhatre meñ
watan ko kuchh nahin KHatra nizam-e-zar hai KHatre mein
haqiqat mein jo rahzan hai wahi rahbar hai KHatre mein
jo baiTha hai saf-e-matam bichhae marg-e-zulmat par
wo nauhagar hai KHatre mein wo danish-war hai KHatre mein
agar tashwish lahaq hai to sultanon ko lahaq hai
na tera ghar hai KHatre mein na mera ghar hai KHatre mein
jahan 'iqbaal' bhi nazr-e-KHat-e-tansiKH ho 'jalib'
wahan tujh ko shikayat hai tera jauhar hai KHatre mein
Source: Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 298)
Leave a comment