Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Raghib

  • Ghazal


andaz-e-sitam un ka nihayat hi alag hai


andāz-e-sitam un kā nihāyat hī alag hai
guzrī hai jo dil par vo qayāmat hī alag hai

le jaa.e jahāñ chāhe havā ham ko uḌā kar
TuuTe hue pattoñ kī hikāyat hī alag hai

pardes meñ rah kar koī kyā paañv jamā.e
gamle meñ lage phuul kī qismat hī alag hai

jitnā hai samar jis pe vo utnā hai ḳhamīda
phaldār daraḳhtoñ kī tabī.at hī alag hai

bāhar se to lagtā hai ki shādāb hai gulshan
andar se har ik peḌ kī hālat hī alag hai

har ek ġhazal tujh se hī mansūb hai merī
andāz mirā terī badaulat hī alag hai

kis kis ko batā.ūñ ki maiñ buzdil nahīñ 'rāġhib'
is daur meñ mafhūm-e-sharāfat hī alag hai

andaz-e-sitam un ka nihayat hi alag hai
guzri hai jo dil par wo qayamat hi alag hai

le jae jahan chahe hawa hum ko uDa kar
TuTe hue patton ki hikayat hi alag hai

pardes mein rah kar koi kya panw jamae
gamle mein lage phul ki qismat hi alag hai

jitna hai samar jis pe wo utna hai KHamida
phaldar daraKHton ki tabiat hi alag hai

bahar se to lagta hai ki shadab hai gulshan
andar se har ek peD ki haalat hi alag hai

har ek ghazal tujh se hi mansub hai meri
andaz mera teri badaulat hi alag hai

kis kis ko bataun ki main buzdil nahin 'raghib'
is daur mein mafhum-e-sharafat hi alag hai

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Iftikhar Raghib RECITATIONS Iftikhar Raghib



00:00/00:00 andaz-e-sitam un ka nihayat hi alag hai Iftikhar Raghib

Source: Book : Harf hale (Pg. 175) Author : Aazam Khurshiid Publication : Lodhi Publishers

Leave a comment

+