Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Faiz Ahmad Faiz

  • Ghazal


kuchh mohtasibon ki KHalwat mein kuchh waiz ke ghar jati hai


kuchh mohtasiboñ kī ḳhalvat meñ kuchh vaa.iz ke ghar jaatī hai
ham bāda-kashoñ ke hisse kī ab jaam meñ kam-tar jaatī hai

yuuñ arz-o-talab se kam ai dil patthar dil paanī hote haiñ
tum laakh razā kī ḳhū Daalo kab ḳhū-e-sitamgar jaatī hai

bedād-garoñ kī bastī hai yaañ daad kahāñ ḳhairāt kahāñ
sar phoḌtī phirtī hai nādāñ fariyād jo dar dar jaatī hai

haañ jaañ ke ziyāñ kī ham ko bhī tashvīsh hai lekin kyā kiije
har rah jo udhar ko jaatī hai maqtal se guzar kar jaatī hai

ab kūcha-e-dil-bar kā rah-rau rahzan bhī bane to baat bane
pahre se adū Talte hī nahīñ aur raat barābar jaatī hai

ham ahl-e-qafas tanhā bhī nahīñ har roz nasīm-e-sub.h-e-vatan
yādoñ se mo.attar aatī hai ashkoñ se munavvar jaatī hai

kuchh mohtasibon ki KHalwat mein kuchh waiz ke ghar jati hai
hum baada-kashon ke hisse ki ab jam mein kam-tar jati hai

yun arz-o-talab se kam ai dil patthar dil pani hote hain
tum lakh raza ki KHu Dalo kab KHu-e-sitamgar jati hai

bedad-garon ki basti hai yan dad kahan KHairaat kahan
sar phoDti phirti hai nadan fariyaad jo dar dar jati hai

han jaan ke ziyan ki hum ko bhi tashwish hai lekin kya kije
har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai

ab kucha-e-dil-bar ka rah-rau rahzan bhi bane to baat bane
pahre se adu Talte hi nahin aur raat barabar jati hai

hum ahl-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subh-e-watan
yaadon se moattar aati hai ashkon se munawwar jati hai


Leave a comment

+