ye us kī niiñd ko kyā ho gayā hai
mirī āñkhoñ meñ shab bhar jāgtā hai
yahāñ kaise raheñ mahfūz chehre
yahāñ TuuTā huā har aa.ina hai
yaqīñ is baat kā ab tak nahīñ hai
ki merī pyaas se dariyā baḌā hai
dimāġh-o-dil haiñ pahre-dār jaise
jo ik so.e to duujā jāgtā hai
ye us ki nind ko kya ho gaya hai
meri aankhon mein shab bhar jagta hai
yahan kaise rahen mahfuz chehre
yahan TuTa hua har aaina hai
yaqin is baat ka ab tak nahin hai
ki meri pyas se dariya baDa hai
dimagh-o-dil hain pahre-dar jaise
jo ek soe to duja jagta hai
Leave a comment