Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadir Areez

  • Ghazal


kai dinon tak nazar mein rahne pe han karegi


ka.ī dinoñ tak nazar meñ rahne pe haañ karegī
vo pahlī koshish pe dil-kushāda kahāñ karegī

ḳhudā kī marzī batā rahā thā bichhaḌne vaalā
vo jāntā thā ki giilī lakḌī dhuāñ karegī

mujhe patā hai maiñ us kī nazroñ se gir gayā huuñ
mirī tavajjoh bhī ab use bad-gumāñ karegī

bichhaḌ ga.e dost to ġhalat-fahmiyāñ baḌheñgī
zamīñ pe bikhre tanoñ kā dīmak ziyāñ karegī

baġhair patvār mo.ajiza hogā paar lagnā
ye lahr par hai kidhar safīna ravāñ karegī

koī shagūfa tumhāre hañsne kā muntazir hai
kisī nazāre ko dhuup aa kar ayaañ karegī

kai dinon tak nazar mein rahne pe han karegi
wo pahli koshish pe dil-kushada kahan karegi

KHuda ki marzi bata raha tha bichhaDne wala
wo jaanta tha ki gili lakDi dhuan karegi

mujhe pata hai main us ki nazron se gir gaya hun
meri tawajjoh bhi ab use bad-guman karegi

bichhaD gae dost to ghalat-fahmiyan baDhengi
zamin pe bikhre tanon ka dimak ziyan karegi

baghair patwar moajiza hoga par lagna
ye lahr par hai kidhar safina rawan karegi

koi shagufa tumhaare hansne ka muntazir hai
kisi nazare ko dhup aa kar ayan karegi


Leave a comment

+