Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghayas Mateen

  • Ghazal


dhup ka ehsas jaane kyun use hota nahin


dhuup kā ehsās jaane kyuuñ use hotā nahīñ
vaqt āvāra hai ThanDī chhāñv meñ hotā nahīñ

jhuuT kī dīvār se laTke hue jismoñ ke din
ho ga.e puure ki sach to shab meñ bhī sotā nahīñ

ham takā karte haiñ khiḌkī se utarte chāñd ko
dauḌ kar us ko pakaḌ leñ ye kabhī hotā nahīñ

dil ajab patthar hai paanī se pighal jaa.e kahīñ
aur kabhī jo aag meñ rakh dījiye rotā nahīñ

raushnī phūTe qalam ke aañkh se kyuuñ kar 'matīn'
āñsuoñ ke biij dil meñ jab koī botā nahīñ

dhup ka ehsas jaane kyun use hota nahin
waqt aawara hai ThanDi chhanw mein hota nahin

jhuT ki diwar se laTke hue jismon ke din
ho gae pure ki sach to shab mein bhi sota nahin

hum taka karte hain khiDki se utarte chand ko
dauD kar us ko pakaD len ye kabhi hota nahin

dil ajab patthar hai pani se pighal jae kahin
aur kabhi jo aag mein rakh dijiye rota nahin

raushni phuTe qalam ke aankh se kyun kar 'matin'
aansuon ke bij dil mein jab koi bota nahin


Leave a comment

+