Subscribe to our newsletter and get our newest updates

P P Srivastava Rind

  • Ghazal


fikr kam bayan kam


fikr kam bayān kam
rah ga.ī zabān kam

dhuup meñ Dhalān kam
raushnī meñ jaan kam

bārishoñ kī intihā
chhat pe āsmān kam

zalzaloñ ne kar diye
shahr ke makān kam

ḳhāmushī hī ḳhāmushī
murġh kī azaan kam

dhuup sho.ala-bār hai
chhāñv kā gumān kam

jism meñ tanāo hai
haDDiyoñ meñ jaan kam

'riñd' ab sukūñ kahāñ
hai azaab jaan kam

fikr kam bayan kam
rah gai zaban kam

dhup mein Dhalan kam
raushni mein jaan kam

barishon ki intiha
chhat pe aasman kam

zalzalon ne kar diye
shahr ke makan kam

KHamushi hi KHamushi
murgh ki azan kam

dhup shoala-bar hai
chhanw ka guman kam

jism mein tanao hai
haDDiyon mein jaan kam

'rind' ab sukun kahan
hai azab jaan kam

RECITATIONS P P Srivastava Rind



00:00/00:00 fikr kam bayan kam P P Srivastava Rind

Pachas Sala Intekhab"

Leave a comment

+