ik nigāh-e-dilbarī merī taraf
zindagī aa jā.egī merī taraf
sīm-o-zar kā ik shajar us ke liye
shāḳh-e-ilm-o-āgahī merī taraf
mere andar bhī añdherā hai bahut
raushnī ai raushnī merī taraf
sair-e-gul sair-e-chaman sab us ke naam
shahr bhar kī nā-ḳhushī merī taraf
dast-e-majnūñ ke hiran kaale hue
barf sī girtī huī merī taraf
us ke dast-e-nāz meñ lākhoñ hunar
merā pā-e-nā-rasī merī taraf
maiñ ki 'nāmī' pāsdār-e-fikr-nau
jurm-hā-e-guftanī merī taraf
ek nigah-e-dilbari meri taraf
zindagi aa jaegi meri taraf
sim-o-zar ka ek shajar us ke liye
shaKH-e-ilm-o-agahi meri taraf
mere andar bhi andhera hai bahut
raushni ai raushni meri taraf
sair-e-gul sair-e-chaman sab us ke nam
shahr bhar ki na-KHushi meri taraf
dast-e-majnun ke hiran kale hue
barf si girti hui meri taraf
us ke dast-e-naz mein lakhon hunar
mera pa-e-na-rasi meri taraf
main ki 'nami' pasdar-e-fikr-nau
jurm-ha-e-guftani meri taraf
Source: Book : Andaaz (Pg. 152) Author : Mahesh Chandr Naqsh Publication : Sangam Kitab Ghar, Delhi (1962) Edition : 1962
Leave a comment