use apnā banā kar dekhnā hai
ye jokhim bhī uThā kar dekhnā hai
kareñ bāteñ diloñ kī ham do jānāñ
jahāñ saarā bhulā kar dekhnā hai
ki lafzoñ ko banānā hai sitāre
kitāboñ ko sajā kar dekhnā hai
sar-e-mahfil kareñ jo dil-farebī
ab un ko aazmā kar dekhnā hai
añdheroñ se nibhānā hai mujhe ab
charāġhoñ ko bujhā kar dekhnā hai
use apna bana kar dekhna hai
ye jokhim bhi uTha kar dekhna hai
karen baaten dilon ki hum do jaanan
jahan sara bhula kar dekhna hai
ki lafzon ko banana hai sitare
kitabon ko saja kar dekhna hai
sar-e-mahfil karen jo dil-farebi
ab un ko aazma kar dekhna hai
andheron se nibhana hai mujhe ab
charaghon ko bujha kar dekhna hai
Pachas Sala Intekhab"
Leave a comment