koī jhankār hai naġhma hai sadā hai kyā hai
tū kiran hai ke kalī hai ke sabā hai kyā hai
terī āñkhoñ meñ ka.ī rañg jhalakte dekhe
sādgī hai ki jhijhak hai ki hayā hai kyā hai
ruuh kī pyaas bujhā dī hai tirī qurbat ne
tū koī jhiil hai jharnā hai ghaTā hai kyā hai
naam hoñToñ pe tirā aa.e to rāhat sī mile
tū tasallī hai dilāsa hai duā hai kyā hai
hosh meñ lā ke mire hosh uḌāne vaale
ye tirā naaz hai shoḳhī hai adā hai kyā hai
dil ḳhatāvār-e-nazar pārsā tasvīr-e-anā
vo bashar hai ki farishta hai ki ḳhudā hai kyā hai
ban ga.ī naqsh jo surḳhī tire afsāne kī
vo shafaq hai ki dhanak hai ki hinā hai kyā hai
koi jhankar hai naghma hai sada hai kya hai
tu kiran hai ke kali hai ke saba hai kya hai
teri aankhon mein kai rang jhalakte dekhe
sadgi hai ki jhijhak hai ki haya hai kya hai
ruh ki pyas bujha di hai teri qurbat ne
tu koi jhil hai jharna hai ghaTa hai kya hai
nam honTon pe tera aae to rahat si mile
tu tasalli hai dilasa hai dua hai kya hai
hosh mein la ke mere hosh uDane wale
ye tera naz hai shoKHi hai ada hai kya hai
dil KHatawar-e-nazar parsa taswir-e-ana
wo bashar hai ki farishta hai ki KHuda hai kya hai
ban gai naqsh jo surKHi tere afsane ki
wo shafaq hai ki dhanak hai ki hina hai kya hai
Source: Book : Word File Mail By Salim Saleem
Leave a comment