ab kī holī meñ rahā be-kār rañg
aur hī laayā firāq-e-yār rañg
suraḳh-rū kar de sharāb aa.ī bahār
hai ḳhizāñ se zard ai ḳhummār rañg
hoñT uude sabz ḳhat āñkheñ siyāh
chehre kā surK-o-safed ai yaar rañg
ham ko saare gulshan-e-āfāq meñ
bas pasand aa.e yahī do-chār rañg
ġhair se khelī hai holī yaar ne
Daale mujh par dīda-e-ḳhūñ-bār rañg
kis kī holī jashn-e-nau-rozī hai aaj
surḳh mai se sāqiyā dastār rañg
hijr-e-jānāñ meñ Thahartā hī nahīñ
kyā hī mere muñh se hai bezār rañg
kyā hai girgiT āsmāñ ke sāmne
badle ik ik dam meñ sau sau baar rañg
aatī hai o qais lailā dasht meñ
ḳhūn-e-pā se jild ab pur-ḳhār rañg
dhuup hai par mere roz-e-hijr kā
hai ba-rañg-e-sāya-e-dīvār rañg
ho gayā kyuuñ zard 'nāsiḳh' kyā kahūñ
hai zamāne kā ajab ai yaar rañg
ab ki holi mein raha be-kar rang
aur hi laya firaq-e-yar rang
suraKH-ru kar de sharab aai bahaar
hai KHizan se zard ai KHummar rang
honT ude sabz KHat aankhen siyah
chehre ka surK-o-safed ai yar rang
hum ko sare gulshan-e-afaq mein
bas pasand aae yahi do-chaar rang
ghair se kheli hai holi yar ne
Dale mujh par dida-e-KHun-bar rang
kis ki holi jashn-e-nau-rozi hai aaj
surKH mai se saqiya dastar rang
hijr-e-jaanan mein Thaharta hi nahin
kya hi mere munh se hai bezar rang
kya hai girgiT aasman ke samne
badle ek ek dam mein sau sau bar rang
aati hai o qais laila dasht mein
KHun-e-pa se jild ab pur-KHar rang
dhup hai par mere roz-e-hijr ka
hai ba-rang-e-saya-e-diwar rang
ho gaya kyun zard 'nasiKH' kya kahun
hai zamane ka ajab ai yar rang
Leave a comment