Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wafa Naqvi

  • Ghazal


main raste mein jahan Thahra hua tha


maiñ raste meñ jahāñ Thahrā huā thā
vahīñ to dhuup kā chehra khilā thā

sabhī alfāz the merī zabāñ ke
magar maiñ ne kahāñ kuchh bhī kahā thā

vo kis ke jism kī ḳhushbū thī āḳhir
havā se tazkira kis kā sunā thā

samundar meñ bahut halchal thī ik din
safīna kis kā Duubā jā rahā thā

ki jaise ḳhvāb sā dekhā thā koī
bas itnā yaad hai koī milā thā

khañDar meñ ghūmtī phirtī thiiñ yādeñ
udāsī kā ajab manzar sajā thā

mirī miTTī kī himmat baḌh ga.ī thī
mire raste meñ dariyā aa gayā thā

main raste mein jahan Thahra hua tha
wahin to dhup ka chehra khila tha

sabhi alfaz the meri zaban ke
magar main ne kahan kuchh bhi kaha tha

wo kis ke jism ki KHushbu thi aaKHir
hawa se tazkira kis ka suna tha

samundar mein bahut halchal thi ek din
safina kis ka Duba ja raha tha

ki jaise KHwab sa dekha tha koi
bas itna yaad hai koi mila tha

khanDar mein ghumti phirti thin yaaden
udasi ka ajab manzar saja tha

meri miTTi ki himmat baDh gai thi
mere raste mein dariya aa gaya tha


Source: Book : siip-volume-47 (Pg. 52)

Leave a comment

+