Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Laiq Aajiz

  • Ghazal


tark-e-jam-o-subu na kar pae


tark-e-jām-o-subū na kar paa.e
is liye ham vazū na kar paa.e

vaqt-e-āḳhir bhī hazrat-e-nāseh
apnā muñh qibla-rū na kar paa.e

us kī rahmat ke sā.ebān meñ thā
merā shak bhī adū na kar paa.e

maslahat kī khaḌī thī jo dīvār
duur us ko kabhū na kar paa.e

umr bhar dūsroñ kī fikr rahī
apnā dāman rafū na kar paa.e

haa.e majbūriyāñ ki us ke huzūr
pesh apnā lahū na kar paa.e

kar lī kamre meñ ḳhud-kushī 'ājiz'
us se jab guftugū na kar paa.e

tark-e-jam-o-subu na kar pae
is liye hum wazu na kar pae

waqt-e-aKHir bhi hazrat-e-naseh
apna munh qibla-ru na kar pae

us ki rahmat ke saeban mein tha
mera shak bhi adu na kar pae

maslahat ki khaDi thi jo diwar
dur us ko kabhu na kar pae

umr bhar dusron ki fikr rahi
apna daman rafu na kar pae

hae majburiyan ki us ke huzur
pesh apna lahu na kar pae

kar li kamre mein KHud-kushi 'ajiz'
us se jab guftugu na kar pae


Leave a comment

+