naam vo merā pukāre jā rahā thā maiñ kahāñ thā
hādisa ye ḳhūbsūrat kab huā thā maiñ kahāñ thā
DhūñDhtā maiñ phir rahā thā jis ko saare shahr bhar meñ
vo to mere rū-ba-rū baiThā huā thā maiñ kahāñ thā
merī baazī ko palaTne ke liye tayyār the sab
sāmne mere ye sab kuchh ho rahā thā maiñ kahāñ thā
aaj va.ade se mukartā phir rahā hai chhup rahā hai
us ne sab ke sāmne va.ada kiyā thā maiñ kahāñ thā
ġham bhulāne ke liye sab log baiThe the vahāñ par
mere jaisoñ ke liye hī mai-kadā thā maiñ kahāñ thā
ab na shāyad mil sakeñ ik dūsre se yuuñ kabhī ham
jaate jaate us ne mujh se ye kahā thā maiñ kahāñ thā
merā dāman kyoñ rahā 'ejāz' ḳhālī rahmatoñ se
jholiyāñ allāh sab kī bhar rahā thā maiñ kahāñ thā
nam wo mera pukare ja raha tha main kahan tha
hadisa ye KHubsurat kab hua tha main kahan tha
DhunDhta main phir raha tha jis ko sare shahr bhar mein
wo to mere ru-ba-ru baiTha hua tha main kahan tha
meri bazi ko palaTne ke liye tayyar the sab
samne mere ye sab kuchh ho raha tha main kahan tha
aaj wade se mukarta phir raha hai chhup raha hai
us ne sab ke samne wada kiya tha main kahan tha
gham bhulane ke liye sab log baiThe the wahan par
mere jaison ke liye hi mai-kada tha main kahan tha
ab na shayad mil saken ek dusre se yun kabhi hum
jate jate us ne mujh se ye kaha tha main kahan tha
mera daman kyon raha 'ejaz' KHali rahmaton se
jholiyan allah sab ki bhar raha tha main kahan tha
Leave a comment