Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aamir Suhail

  • Ghazal


ye tere husn ka aaweza jo mahtab nahin


ye tire husn kā āveza jo mahtāb nahīñ
ka.aba-e-ishq nahīñ rauza-e-yak-ḳhvāb nahīñ

ek kolāz banātī hai tirī ḳhāmoshī
ḳhat-e-inkār nahīñ sūrat-e-ījāb nahīñ

kohar kī rehl pe aur dhuñd ke juzdān meñ vo
ik sahīfa hai ki jis par koī eraab nahīñ

ik kahānī ke pas-o-pesh tirī aahaT hai
ghaas ke kunj nahīñ kaa.ī ke tālāb nahīñ

tere pā-posh mirā takiya tirā jism-e-haram
is se ziyāda to nigah vāqif-e-ādāb nahīñ

ā.inoñ kī hai koī baaḌh mire raste meñ
sadd-e-aflāk nahīñ chādar-e-asbāb nahīñ

shakl jo mujh pe paristān ke dar kholtī hai
raunaq-e-hujra nahīñ zīnat-e-mehrāb nahīñ

ye zamānoñ kī adā.eñ ye jahānoñ kā sulūk
aise logoñ se jo is ahd meñ kamyāb nahīñ

dil bahe jaatā hai kis rau ke bahāv meñ ki vo
shiddat-e-hijr nahīñ tundī-e-sailāb nahīñ

terī āñkhoñ meñ mirī niiñd kā tezāb nahīñ
tere hoñToñ pe mire hoñT haiñ aur ḳhvāb nahīñ

ḳhuun se aT ga.iiñ shāhrāheñ peshawar terī
dosh pe darroñ ke ab chādar-e-kam-ḳhvāb nahīñ

ye tere husn ka aaweza jo mahtab nahin
kaba-e-ishq nahin rauza-e-yak-KHwab nahin

ek kolaz banati hai teri KHamoshi
KHat-e-inkar nahin surat-e-ijab nahin

kohar ki rehl pe aur dhund ke juzdan mein wo
ek sahifa hai ki jis par koi erab nahin

ek kahani ke pas-o-pesh teri aahaT hai
ghas ke kunj nahin kai ke talab nahin

tere pa-posh mera takiya tera jism-e-haram
is se ziyaada to nigah waqif-e-adab nahin

aainon ki hai koi baDh mere raste mein
sadd-e-aflak nahin chadar-e-asbab nahin

shakl jo mujh pe paristan ke dar kholti hai
raunaq-e-hujra nahin zinat-e-mehrab nahin

ye zamanon ki adaen ye jahanon ka suluk
aise logon se jo is ahd mein kamyab nahin

dil bahe jata hai kis rau ke bahaw mein ki wo
shiddat-e-hijr nahin tundi-e-sailab nahin

teri aankhon mein meri nind ka tezab nahin
tere honTon pe mere honT hain aur KHwab nahin

KHun se aT gain shahrahen peshawar teri
dosh pe darron ke ab chadar-e-kam-KHwab nahin


Leave a comment

+