sar uThāne kī to himmat nahīñ karne vaale
ye jo murda haiñ baġhāvat nahīñ karne vaale
muflisī laakh sahī ham meñ vo ḳhuddārī hai
hākim-e-vaqt kī ḳhidmat nahīñ karne vaale
in se ummīd na rakh haiñ ye siyāsat vaale
ye kisī se bhī mohabbat nahīñ karne vaale
haath āñdhī se milā aa.e isī daur ke log
ye charāġhoñ kī hifāzat nahīñ karne vaale
ishq ham ko ye nibhānā hai to jo rakh sharteñ
ham kisī shart pe hujjat nahīñ karne vaale
phoḌ kar sar tire dar par yahīñ mar jā.eñge
ham tire shahr se hijrat nahīñ karne vaale
sar uThane ki to himmat nahin karne wale
ye jo murda hain baghawat nahin karne wale
muflisi lakh sahi hum mein wo KHuddari hai
hakim-e-waqt ki KHidmat nahin karne wale
in se ummid na rakh hain ye siyasat wale
ye kisi se bhi mohabbat nahin karne wale
hath aandhi se mila aae isi daur ke log
ye charaghon ki hifazat nahin karne wale
ishq hum ko ye nibhana hai to jo rakh sharten
hum kisi shart pe hujjat nahin karne wale
phoD kar sar tere dar par yahin mar jaenge
hum tere shahr se hijrat nahin karne wale
Leave a comment