Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Habib Jalib

  • Ghazal


dil walo kyun dil si daulat yun be-kar luTate ho


dil vaalo kyuuñ dil sī daulat yuuñ be-kār luTāte ho
kyuuñ is añdhiyārī bastī meñ pyaar kī jot jagāte ho

tum aisā nādān jahāñ meñ koī nahīñ hai koī nahīñ
phir in galiyoñ meñ jaate ho pag pag Thokar khāte ho

sundar kaliyo komal phūlo ye to batāo ye to kaho
āḳhir tum meñ kyā jaadū hai kyuuñ man meñ bas jaate ho

ye mausam rim-jhim kā mausam ye barkhā ye mast fazā
aise meñ aao to jāneñ aise meñ kab aate ho

ham se ruuTh ke jaane vaalo itnā bhed batā jaao
kyuuñ nit raato ko sapnoñ meñ aate ho man jaate ho

chāñd-sitāroñ ke jhurmuT meñ phūloñ kī muskāhaT meñ
tum chhup-chhup kar hañste ho tum ruup kā maan baḌhāte ho

chalte phirte raushan raste tārīkī meñ Duub ga.e
so jaao ab 'jālib' tum bhī kyuuñ āñkheñ sulgāte ho

dil walo kyun dil si daulat yun be-kar luTate ho
kyun is andhiyari basti mein pyar ki jot jagate ho

tum aisa nadan jahan mein koi nahin hai koi nahin
phir in galiyon mein jate ho pag pag Thokar khate ho

sundar kaliyo komal phulo ye to batao ye to kaho
aaKHir tum mein kya jadu hai kyun man mein bas jate ho

ye mausam rim-jhim ka mausam ye barkha ye mast faza
aise mein aao to jaanen aise mein kab aate ho

hum se ruTh ke jaane walo itna bhed bata jao
kyun nit raato ko sapnon mein aate ho man jate ho

chand-sitaron ke jhurmuT mein phulon ki muskahaT mein
tum chhup-chhup kar hanste ho tum rup ka man baDhate ho

chalte phirte raushan raste tariki mein Dub gae
so jao ab 'jalib' tum bhi kyun aankhen sulgate ho


Source: Waridat

Leave a comment

+