Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaifi Azmi

  • Ghazal


main DhunDta hun jise wo jahan nahin milta


maiñ DhūñDtā huuñ jise vo jahāñ nahīñ miltā
na.ī zamīn nayā āsmāñ nahīñ miltā

na.ī zamīn nayā āsmāñ bhī mil jaa.e
na.e bashar kā kahīñ kuchh nishāñ nahīñ miltā

vo teġh mil ga.ī jis se huā hai qatl mirā
kisī ke haath kā us par nishāñ nahīñ miltā

vo merā gaañv hai vo mere gaañv ke chūlhe
ki jin meñ shole to shole dhuāñ nahīñ miltā

jo ik ḳhudā nahīñ miltā to itnā mātam kyuuñ
yahāñ to koī mirā ham-zabāñ nahīñ miltā

khaḌā huuñ kab se maiñ chehroñ ke ek jañgal meñ
tumhāre chehre kā kuchh bhī yahāñ nahīñ miltā

main DhunDta hun jise wo jahan nahin milta
nai zamin naya aasman nahin milta

nai zamin naya aasman bhi mil jae
nae bashar ka kahin kuchh nishan nahin milta

wo tegh mil gai jis se hua hai qatl mera
kisi ke hath ka us par nishan nahin milta

wo mera ganw hai wo mere ganw ke chulhe
ki jin mein shole to shole dhuan nahin milta

jo ek KHuda nahin milta to itna matam kyun
yahan to koi mera ham-zaban nahin milta

khaDa hun kab se main chehron ke ek jangal mein
tumhaare chehre ka kuchh bhi yahan nahin milta

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Rita Ganguly Begum Akhtar RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 main DhunDta hun jise wo jahan nahin milta Nomaan Shauque

Source: Book : Kulliyat-e-Mahshar Badayuni (Pg. 151)

Leave a comment

+