bajā ki pāband-e-kūcha-e-nāz ham hue the
yahīñ se par le ke mahv-e-parvāz ham hue the
suḳhan kā āġhāz pahle bose kī tāzgī thā
azal-rubā sā.atoñ ke hamrāz ham hue the
yahāñ jo ik guuñj dā.ere sī banā rahī hai
isī ḳhamoshī meñ sañg-e-āvāz ham hue the
ravāñ-davāñ inkishāf-dar-inkishāf the ham
jo muḌ ke dekhā to seġha-e-rāz ham hue the
ufuq thā raushan na murta.ish pāniyoñ pe kirneñ
ġhalat jazīroñ pe lañgar-andāz ham hue the
kuredte phir rahe haiñ ab ret sāhiloñ kī
vahī jo ġhota-zan-e-yam-rāz ham hue the
jumūd kā ek daur guzrā thā fikr-o-fan par
tavīl arse ke ba.ad phir 'sāz' ham hue the
baja ki paband-e-kucha-e-naz hum hue the
yahin se par le ke mahw-e-parwaz hum hue the
suKHan ka aaghaz pahle bose ki tazgi tha
azal-ruba saaton ke hamraaz hum hue the
yahan jo ek gunj daere si bana rahi hai
isi KHamoshi mein sang-e-awaz hum hue the
rawan-dawan inkishaf-dar-inkishaf the hum
jo muD ke dekha to segha-e-raaz hum hue the
ufuq tha raushan na murtaish paniyon pe kirnen
ghalat jaziron pe langar-andaz hum hue the
kuredte phir rahe hain ab ret sahilon ki
wahi jo ghota-zan-e-yam-raaz hum hue the
jumud ka ek daur guzra tha fikr-o-fan par
tawil arse ke baad phir 'saz' hum hue the
Leave a comment