Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Vineet Aashna

  • Ghazal


ajab si aaj-kal main ek pareshani mein hun yaro


ajab sī āj-kal maiñ ik pareshānī meñ huuñ yaaro
yahī mushkil merī hai bas maiñ āsānī meñ huuñ yaaro

mujhe un jhiil sī āñkhoñ meñ yuuñ bhī Dūbnā hī hai
na pūchho bārhā kitne meñ ab paanī meñ huuñ yaaro

na sūrat vasl kī koī na koī hijr kā ġham hai
maiñ ab ke baar kuchh aisī hī vīrānī meñ huuñ yaaro

mujhe lagtā thā mumkin hī nahīñ hai us ke bin jiinā
maiñ zinda huuñ magar muddat se hairānī meñ huuñ yaaro

badan kā pairahan chhoTā mujhe paḌne lagā itnā
maiñ khul kar saañs lene ko bhī uryānī meñ huuñ yaaro

ḳhudā ne rakh diyā mujh ko usī ke dil meñ jaane kyuuñ
na bāhoñ meñ huuñ maiñ jis kī na peshānī meñ huuñ yaaro

usī ik 'āshnā' ko DhūñDhtī har pal mirī āñkheñ
maiñ rahtā rāt-din jis kī nigahbānī meñ huuñ yaaro

ajab si aaj-kal main ek pareshani mein hun yaro
yahi mushkil meri hai bas main aasani mein hun yaro

mujhe un jhil si aankhon mein yun bhi Dubna hi hai
na puchho barha kitne mein ab pani mein hun yaro

na surat wasl ki koi na koi hijr ka gham hai
main ab ke bar kuchh aisi hi virani mein hun yaro

mujhe lagta tha mumkin hi nahin hai us ke bin jina
main zinda hun magar muddat se hairani mein hun yaro

badan ka pairahan chhoTa mujhe paDne laga itna
main khul kar sans lene ko bhi uryani mein hun yaro

KHuda ne rakh diya mujh ko usi ke dil mein jaane kyun
na bahon mein hun main jis ki na peshani mein hun yaro

usi ek 'ashna' ko DhunDhti har pal meri aankhen
main rahta raat-din jis ki nigahbani mein hun yaro


Source:

Leave a comment

+