ishq kyuuñ rusvā huā apnā sar-e-rāhe gaahe
aa isī tarah jo mil jā.iye gaahe gaahe
be-ruḳhī ahl-e-mohabbat se ravā tum ko nahīñ
sadqa-e-husn sahī mujh pe nigāhe gaahe
dil ko mizhgāñ kā tasavvur hī bahut kaam aayā
Dūbte ko hai sahārā par-e-kāhe gaahe
aarzū hai ki tire kūche se ham bhī guzreñ
pairahan chāk-ba-īñ hāl-e-tabāhe gaahe
zindagī ḳhatm huī bas isī hasrat meñ ki vo
mujh ko paas apne bulā.e mujhe chāhe gaahe
dil meñ tasvīr tumhārī na utārūñ to kaho
parda-e-ruḳh bhī uThe jalva-panāhe gaahe
'barq'-e-ġham-dīda tirā mustahiq-e-lutf huā
sunte haiñ arsh ko jā letī hai aahe gaahe
ishq kyun ruswa hua apna sar-e-rahe gahe
aa isi tarah jo mil jaiye gahe gahe
be-ruKHi ahl-e-mohabbat se rawa tum ko nahin
sadqa-e-husn sahi mujh pe nigahe gahe
dil ko mizhgan ka tasawwur hi bahut kaam aaya
Dubte ko hai sahaara par-e-kahe gahe
aarzu hai ki tere kuche se hum bhi guzren
pairahan chaak-ba-in haal-e-tabahe gahe
zindagi KHatm hui bas isi hasrat mein ki wo
mujh ko pas apne bulae mujhe chahe gahe
dil mein taswir tumhaari na utarun to kaho
parda-e-ruKH bhi uThe jalwa-panahe gahe
'barq'-e-gham-dida tera mustahiq-e-lutf hua
sunte hain arsh ko ja leti hai aahe gahe
Source: Book : Kulliyat-e-Rahi (Pg. 245) Author : Ghulam Murtaza Rahi Publication : Educational Publishing House (2012) Edition : 2012
Leave a comment