rafta rafta sab kuchh achchhā ho jā.egā
in-shā.allah sab kuchh achchhā ho jā.egā
āḌe-tirchhe manzar sīdhe ho jā.eñge
ulTā sīdhā sab kuchh achchhā ho jā.egā
dukh se sukh kā rishta jis din jaan ga.e ham
ronā hañsnā sab kuchh achchhā ho jā.egā
mil jā.egā jab rastoñ se apnā rasta
aanā jaanā sab kuchh achchhā ho jā.egā
jab raste meñ us kī ḳhushbū mil jā.egī
ruknā, chalnā sab kuchh achchhā ho jā.egā
dhul jā.eñge saare manzar dhul jā.eñge
ho jā.egā sab kuchh achchhā ho jā.egā
lambe Thigne ek barābar ho jā.eñge
ūñchā nīchā sab kuchh achchhā ho jā.egā
maazī haal aur mustaqil ke sab lamhoñ meñ
nayā purānā sab kuchh achchhā ho jā.egā
ik ik kar ke saarī girheñ khul jā.eñgī
merī guḌiyā sab kuchh achchhā ho jā.egā
pyārā pyārā nikhrā nikhrā ujlā ujlā
achchhe baabā sab kuchh achchhā ho jā.egā
achchhā achchhā ho jā.egā sab kuchh achchhā
achchhā achchhā sab kuchh achchhā ho jā.egā
rafta rafta sab kuchh achchha ho jaega
in-shaallah sab kuchh achchha ho jaega
aaDe-tirchhe manzar sidhe ho jaenge
ulTa sidha sab kuchh achchha ho jaega
dukh se sukh ka rishta jis din jaan gae hum
rona hansna sab kuchh achchha ho jaega
mil jaega jab raston se apna rasta
aana jaana sab kuchh achchha ho jaega
jab raste mein us ki KHushbu mil jaegi
rukna, chalna sab kuchh achchha ho jaega
dhul jaenge sare manzar dhul jaenge
ho jaega sab kuchh achchha ho jaega
lambe Thigne ek barabar ho jaenge
uncha nicha sab kuchh achchha ho jaega
mazi haal aur mustaqil ke sab lamhon mein
naya purana sab kuchh achchha ho jaega
ek ek kar ke sari girhen khul jaengi
meri guDiya sab kuchh achchha ho jaega
pyara pyara nikhra nikhra ujla ujla
achchhe baba sab kuchh achchha ho jaega
achchha achchha ho jaega sab kuchh achchha
achchha achchha sab kuchh achchha ho jaega
Source: Book : Ghazalistaan (Pg. 63) Author : Farkhanda Hashmi, Najeeb Rampuri Publication : Farid Book Depot ltd, New Delhi (2003) Edition : 2003
Leave a comment