Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naheed Virk

  • Ghazal


jo tu mera muqaddar bante bante rah gaya hai


jo tū merā muqaddar bante bante rah gayā hai
samajh le, kuchh kahīñ par bante bante rah gayā hai

ye dil ke zaḳhm to vaise ke vaise hī hare haiñ
ki terā lams mantar bante bante rah gayā hai

maiñ terī dūrī-o-qurbat se aage aa ga.ī huuñ
so terā naqsh dil par bante bante rah gayā hai

ajab hī kyā hai jo mujh ko nahīñ tū mil sakā to
mirā har kaam aksar bante bante rah gayā hai

kahānī ibtidā hī se bahut uljhī huī thī
sabhī kuchh is meñ behtar bante bante rah gayā hai

jo tu mera muqaddar bante bante rah gaya hai
samajh le, kuchh kahin par bante bante rah gaya hai

ye dil ke zaKHm to waise ke waise hi hare hain
ki tera lams mantar bante bante rah gaya hai

main teri duri-o-qurbat se aage aa gai hun
so tera naqsh dil par bante bante rah gaya hai

ajab hi kya hai jo mujh ko nahin tu mil saka to
mera har kaam aksar bante bante rah gaya hai

kahani ibtida hi se bahut uljhi hui thi
sabhi kuchh is mein behtar bante bante rah gaya hai


Leave a comment

+