Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Gorakhpuri

  • Ghazal


dekhen qarib se bhi to achchha dikhai de


dekheñ qarīb se bhī to achchhā dikhā.ī de
ik aadmī to shahr meñ aisā dikhā.ī de

ab bhiik māñgne ke tarīqe badal ga.e
lāzim nahīñ ki haath meñ kaasa dikhā.ī de

neze pe rakh ke aur mirā sar buland kar
duniyā ko ik charāġh to jaltā dikhā.ī de

dil meñ tire ḳhayāl kī bantī hai ik dhanak
sūraj sā ā.īne se guzartā dikhā.ī de

chal zindagī kī jot jagā.e ajab nahīñ
lāshoñ ke darmiyāñ koī rasta dikhā.ī de

kyā kam hai ki vajūd ke sannāTe meñ 'zafar'
ik dard kī sadā hai ki zinda dikhā.ī de

dekhen qarib se bhi to achchha dikhai de
ek aadmi to shahr mein aisa dikhai de

ab bhik mangne ke tariqe badal gae
lazim nahin ki hath mein kasa dikhai de

neze pe rakh ke aur mera sar buland kar
duniya ko ek charagh to jalta dikhai de

dil mein tere KHayal ki banti hai ek dhanak
suraj sa aaine se guzarta dikhai de

chal zindagi ki jot jagae ajab nahin
lashon ke darmiyan koi rasta dikhai de

kya kam hai ki wajud ke sannaTe mein 'zafar'
ek dard ki sada hai ki zinda dikhai de


Source: Sahar Hone Tak

Leave a comment

+