Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ibraheem Hammad

  • Ghazal


aisi wusat ki chamakte hain sitare dil mein


aisī vus.at ki chamakte haiñ sitāre dil meñ
us ko rahnā hī nahīñ aayā hamāre dil meñ

sab ne aa aa ke mirā zehnī tavāzun chheḌā
log jo jo bhī mohabbat se utāre dil meñ

tū ne kyā jurm kiyā hogā jo maiñ rahtā rahā
itnā arsa mire chandā tire pyāre dil meñ

terā ronā tire kuchh kaam nahīñ aa.egā dost
sabz battī pe nahīñ khulte ishāre dil meñ

us kī āñkhoñ se jo dekhe the unhī ḳhvāboñ ne
aaj kal aag lagā rakkhī hai saare dil meñ

koī do chaar na.e zaḳhm ki rash paḌ jaa.e
sirf ik Dar rahā kartā hai bechāre dil meñ

sachche dil vaalī mire hujre meñ rahtī hai huzūr
mīThe paanī kā kuaañ hai mire khāre dil meñ

merā allāh mire saath hai vo jāntī hai
us ne Darte hue chalvā.e haiñ aare dil meñ

aisi wusat ki chamakte hain sitare dil mein
us ko rahna hi nahin aaya hamare dil mein

sab ne aa aa ke mera zehni tawazun chheDa
log jo jo bhi mohabbat se utare dil mein

tu ne kya jurm kiya hoga jo main rahta raha
itna arsa mere chanda tere pyare dil mein

tera rona tere kuchh kaam nahin aaega dost
sabz batti pe nahin khulte ishaare dil mein

us ki aankhon se jo dekhe the unhi KHwabon ne
aaj kal aag laga rakkhi hai sare dil mein

koi do chaar nae zaKHm ki rash paD jae
sirf ek Dar raha karta hai bechaare dil mein

sachche dil wali mere hujre mein rahti hai huzur
miThe pani ka kuan hai mere khaare dil mein

mera allah mere sath hai wo jaanti hai
us ne Darte hue chalwae hain aare dil mein


Leave a comment

+