Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nadeem Mahir

  • Ghazal


hum buzurgon ki aan chhoD aae


ham buzurgoñ kī aan chhoḌ aa.e
ḳhāndānī makān chhoḌ aa.e

us qabīle meñ saare gūñge the
ham jahāñ par zabān chhoḌ aa.e

us kā darvāza band paayā to
dastakoñ ke nishān chhoḌ aa.e

roTī kapḌe makān kī ḳhātir
roTī kapḌā makān chhoḌ aa.e

ek us ko talāsh karne meñ
ham zamīñ āsmān chhoḌ aa.e

ab safar hai yaqīn kī jānib
vasvase aur gumān chhoḌ aa.e

hum buzurgon ki aan chhoD aae
KHandani makan chhoD aae

us qabile mein sare gunge the
hum jahan par zaban chhoD aae

us ka darwaza band paya to
dastakon ke nishan chhoD aae

roTi kapDe makan ki KHatir
roTi kapDa makan chhoD aae

ek us ko talash karne mein
hum zamin aasman chhoD aae

ab safar hai yaqin ki jaanib
waswase aur guman chhoD aae


Leave a comment

+