Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chandni Pandey

  • Ghazal


ek muddat se use dekha nahin


ek muddat se use dekhā nahīñ
ab magar kājal mirā bahtā nahīñ

ik maraz meñ mubtalā hai dil mirā
kyā maraz hai ye pata chaltā nahīñ

dostī jab se huī ta.abīr se
ḳhvāb pīchhā hī mirā kartā nahīñ

jī nahīñ saktā hai vo mere binā
is qadar vishvās bhī achchhā nahīñ

duur se āvāz detā hai koī
aur mere sāmne rastā nahīñ

saare mausam ek jaise ho ga.e
ab ye dil hañstā nahīñ rotā nahīñ

diary par aañkh se Tapkā hai kuchh
maiñ ne koī sher to likkhā nahīñ

ek muddat se use dekha nahin
ab magar kajal mera bahta nahin

ek maraz mein mubtala hai dil mera
kya maraz hai ye pata chalta nahin

dosti jab se hui tabir se
KHwab pichha hi mera karta nahin

ji nahin sakta hai wo mere bina
is qadar wishwas bhi achchha nahin

dur se aawaz deta hai koi
aur mere samne rasta nahin

sare mausam ek jaise ho gae
ab ye dil hansta nahin rota nahin

diary par aankh se Tapka hai kuchh
main ne koi sher to likkha nahin


Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 113) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14

Leave a comment

+