Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hakeem Aagha Jan Aish

  • Ghazal


bad amal karte ho aur nek jaza chahte ho


bad amal karte ho aur nek jazā chāhte ho
dil meñ socho to ki kyā karte ho kyā chāhte ho

us ke bandoñ kā satānā hai nihāyat hī burā
un ko ārām do gar apnā bhalā chāhte ho

nā-ḳhudā-tarshoñ ko jab tum ne kiyā apnā nadīm
huā ma.alūm ki tum apnā burā chāhte ho

bad-ma.āshoñ se to karvāte ho aalam ko tabāh
us pe ye lutf hai ābād huā chāhte ho

hājateñ aur ġharīboñ kī to karvāte ho band
aur hājāt ko tum apnī ravā chāhte ho

saare aalam ko to rulvāte ho aur is ke evaz
ye tamāshā hai ki tum aap hañsā chāhte ho

baat kyūñ-kar bane zāhir meñ to farmāte ho lutf
qatl bātin meñ ġharīboñ ko kiyā chāhte ho

'aish' kar arz yahī un se ki bas tauba karo
maraz-e-ġham se agar apnī shifā chāhte ho

bad amal karte ho aur nek jaza chahte ho
dil mein socho to ki kya karte ho kya chahte ho

us ke bandon ka satana hai nihayat hi bura
un ko aaram do gar apna bhala chahte ho

na-KHuda-tarshon ko jab tum ne kiya apna nadim
hua malum ki tum apna bura chahte ho

bad-maashon se to karwate ho aalam ko tabah
us pe ye lutf hai aabaad hua chahte ho

hajaten aur gharibon ki to karwate ho band
aur hajat ko tum apni rawa chahte ho

sare aalam ko to rulwate ho aur is ke ewaz
ye tamasha hai ki tum aap hansa chahte ho

baat kyun-kar bane zahir mein to farmate ho lutf
qatl baatin mein gharibon ko kiya chahte ho

'aish' kar arz yahi un se ki bas tauba karo
maraz-e-gham se agar apni shifa chahte ho


Source: Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 154)

Leave a comment

+