ai sabā kah bahār kī bāteñ
is but-e-gul-ezār kī bāteñ
kis pe chhoḌe nigāh kā shahbāz
kyā kare hai shikār kī bāteñ
mehrbānī siiñ yā hoñ ġhusse siiñ
pyārī lagtī haiñ yaar kī bāteñ
chhoḌte kab haiñ naqd-e-dil kuuñ sanam
jab ye karte haiñ pyaar kī bāteñ
pūchhiye kuchh kaheñ haiñ kuchh 'nājī'
aa paḌīñ rozgār kī bāteñ
ai saba kah bahaar ki baaten
is but-e-gul-ezar ki baaten
kis pe chhoDe nigah ka shahbaz
kya kare hai shikar ki baaten
mehrbani sin ya hon ghusse sin
pyari lagti hain yar ki baaten
chhoDte kab hain naqd-e-dil kun sanam
jab ye karte hain pyar ki baaten
puchhiye kuchh kahen hain kuchh 'naji'
aa paDin rozgar ki baaten
Source: Book : Ibaraten (Pg. 43)
Leave a comment