Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ehsan Jafri

  • Ghazal


zindagi ek aag hai wo aag jalna chahiye


zindagī ik aag hai vo aag jalnā chāhiye
be-hisī ik barf hai is ko pighalnā chāhiye

maut bhī hai zindagī aur maut se Darnā fuzūl
maut se āñkheñ milā kar muskurānā chāhiye

valvale tūfān-o-āñdhī barq-o-bārāñ zalzale
in na.e sāñchoñ meñ ham ko aaj Dhalnā chāhiye

bhuuk bekārī ke shikve un se karnā hai fuzūl
un ke aage taan kar siina nikalnā chāhiye

ne diyā hai aur na deñge ye masā.ib kā javāb
ab hameñ taqdīr apnī ḳhud badalnā chāhiye

ho galī kūche meñ charchā baat ye kaafī nahīñ
dushmanoñ ke paañv kī dhartī dahalnā chāhiye

zindagi ek aag hai wo aag jalna chahiye
be-hisi ek barf hai is ko pighalna chahiye

maut bhi hai zindagi aur maut se Darna fuzul
maut se aankhen mila kar muskurana chahiye

walwale tufan-o-andhi barq-o-baran zalzale
in nae sanchon mein hum ko aaj Dhalna chahiye

bhuk bekari ke shikwe un se karna hai fuzul
un ke aage tan kar sina nikalna chahiye

ne diya hai aur na denge ye masaib ka jawab
ab hamein taqdir apni KHud badalna chahiye

ho gali kuche mein charcha baat ye kafi nahin
dushmanon ke panw ki dharti dahalna chahiye


Source: Book : Noquush (Pg. B-426 E436) Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954) Edition : May June 1954

Leave a comment

+