Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Raza

  • Ghazal


hadis-e-ishq ko unwan la-jawab mila


hadīs-e-ishq ko unvān lā-javāb milā
mujhe nigāh milī hai use shabāb milā

hameñ nasīb se qur.ān lā-javāb milā
varaq jahāñ se khulā zindagī kā baab milā

ḳhudā ke fazl se jūyā-e-ilm-o-dānihs ko
nabī sā shahr milā aur alī sā baab milā

gunāhgār hamīñ the tamām ḳhilqat meñ
hameñ ko ashraf-e-maḳhlūq kā ḳhitāb milā

bas ek ḳhvāb kī ta.abīr DhūñDhte guzrī
tamām-umr kā hāsil bas ek ḳhvāb milā

jhukī jhukī sī nigāhoñ meñ iztirāb nihāñ
na jaane kitne hijāboñ meñ be-hijāb milā

jamāl-e-yār kī ra.anā.iyoñ meñ āḳhir-e-shab
kahīñ ye kāhkashāñ thī kahīñ shahāb milā

zamīn-e-sher huī āftāb-e-burj-e-sharaf
'anīs' fan meñ tire lutf-e-bū-turāb milā

suḳhan samajhte haiñ 'ja.afar'-razā ka.ī ahbāb
jo rāh-e-shauq meñ naġhmāt kā sarāb milā

hadis-e-ishq ko unwan la-jawab mila
mujhe nigah mili hai use shabab mila

hamein nasib se quran la-jawab mila
waraq jahan se khula zindagi ka bab mila

KHuda ke fazl se juya-e-ilm-o-danihs ko
nabi sa shahr mila aur ali sa bab mila

gunahgar hamin the tamam KHilqat mein
hamein ko ashraf-e-maKHluq ka KHitab mila

bas ek KHwab ki tabir DhunDhte guzri
tamam-umr ka hasil bas ek KHwab mila

jhuki jhuki si nigahon mein iztirab nihan
na jaane kitne hijabon mein be-hijab mila

jamal-e-yar ki ranaiyon mein aaKHir-e-shab
kahin ye kahkashan thi kahin shahab mila

zamin-e-sher hui aaftab-e-burj-e-sharaf
'anis' fan mein tere lutf-e-bu-turab mila

suKHan samajhte hain 'jafar'-raza kai ahbab
jo rah-e-shauq mein naghmat ka sarab mila


Leave a comment

+